Arjun being disillusioned & Krishna trying to clear that disillusionment...
Krishna : Apne se badon ke email ka aadar samman karna seekho, Arjun.
Arjun : Main apne hi kul ke aadarniya logon ko JUNK EMAIL kaise bhej sakta hoon, Vasudev?
Krishna : Is samay yeh tumhare mitra ya shatru nahi hain Paarth. Vey keval mail-users hain. Isliye Net-dharm ka paalan karo. Login karo our bhejo junk mail by the dozen - yahi tumhara kartavya hai aur yahee tumhara dharm hai.
Arjun : Hey Muraree! ise dekh kar to lagata hai mein recruiting industry hee chod doon.
Krishna : Vats tum mohmaya mein fass gaye ho. Is jagat mein na koi tumhara hai, na tum kisi ke ho. Tum se pahle bhee ye junk mail thee or tumhare baad bhee rahegee. Is mohmaya se ooper utho, karm karo. Dhanadhan junk mail bhejo.
Arjun : Kintu, iska parinam kya hoga, hey Devaki nandan ?!
Krishna : Vijay ya parajay tumhare vash mein nahi hai. Issliye parinam ke bare mien sochna band kar do. Tumhe Guru Dronacharya ne junk-shastra ki siksha dee hai use nasht mat hone do...
Arjun : Hey Keshav, Junk mail ka system se kya connection hai ?
Krishna : Junk mail junk mail hi hai, iska hardware se koi naata nahin. Haan yeh alag baat hain ki woh System ko overload kardeta hain.. Disk bhar deta hain.. Tumhara kaam iske baarein mein sochna nahin hain..Jis tarah se aatma ek sharir ko chod kar doosre mein pravesh karti hai,usi tarah se junk mail bhi system to system travel karta hai.
Arjun : Junk mail ki paribhasha kya hai?
Krishna : Isse na agni jala sakti hai, na varun bhiga sakti hai, na hi yeh jeeta ja sakta hai na hi haaraya ja sakta hai. Isse bhejne wale ka swayam Mahadev bhi kuch nahi bigad sakte hain. Junk mail amar hai.
Arjun : Hey Narayan ! Abhi mere saare fande clear ho gaye hain. Yashoda nandan aapne meree aankhe khol dee, nahin to mein is mohmaya mein pad ker saree junk mail khud hee padh leta.